Photoshop me New Document lekar Editing kaise Kare 2022

Jis taraha ms office word me new document lekar uss me apna document create karta hai thik waisa hi photoshop me new document lekar editing kar sakte hai. photoshop me agar ek bhi photo nahi hai ya aapke computer me photos nahi hai tabh bhi aap photoshop me photo editing kar sakte hai.
Bina photos ke bhi editing kar sakte hai new document lekar. Apni hisab se editing karne ke liye new document me apni man pasand color ki new document le sakte hai.
Pahle ye jaan lete hai ki photoshop me new document kaise lete hai. new document se kya karte hai. akhir new ducument kis liye hai aur kya kya kar sakte hai.
New Document Kya hai?
Maan lijiye ki photoshop me editing karne ke liye aapke pass photos nahi hai. aise me aap photoshop ko open karke kya karenge. Bass aise me aap new document lekar editing kar sakte hai. yaha par sirf app ek hi color ka ducument le sakte hai matlab jaisa color ka ducument lena hai aapko backround color set karke le sakte hai.. jaise- White, Red, Blue, Green etc.
Pen Tool Kaise Istemaal Kare

New Ducument Se Kya Kya Kar Sakte Hai?
Iss sawaal ka jabab toh me bhi nahi de sakta. Ha bas itna keh sakta hu ki isse kuch bhi kar sakte hai. new document ki tabhi jarurat padhta hai jab editig karte hai. matlab editing karne waqt agar kahi pe color wala image dena ho ya ek hi color ka background dena hai tabhi isska use karte hai.
Agar photoshop me letter likhna ho toh new document ki hi jarurzat padhta hai kyuki usske liye white background ki jarurat padhta hai.
Eraser Tool Kaise Intemaal Kare.
New Document Kaise Le?
Photoshop me new document lene ke liye sabse pahle photoshop ko open kariye phir menu me se file par phir new par click karke new dialog box ko open kariye. New document ko lene ke liye keyboard shortcut se le sakte hai CTRL+N daba kar.Ab is dialog box ke bare achi taraha jaaniye phir new document le sakte hai.
Save Aur Save As Me Fark.
1. Name:- name ki jagaha par naam dena document ki. yaha par pahle se hi naam aata hai. jaise- Untitled-1, Untitled-2 iss taraha. agar aap apna pasand ka naam dena chahte hai toh pahle wala naam ko delete karke apna hisab se naam de sakte hai.
2. Preset Size:- yaha par dropdown hai document size ki aap apna hisab se size de sakte hai. jaise size dena hai yaha se select karke document ki size de sakte hai.
Agar yaha par jaisa size dena chahte hai waisa size nahi hai toh custom me click karke apna custom size dekar create kar sakte hai. custom size dene ke liye width aur height par jaise size deni hai size dijiye.
3. Mode:-yaha par RGB color ko select karke rakhiye.
Deleted File Ki Kaise La Sakte Hai.
New document lene ke liye pahle naam de diya phir document ki size diya phir document ko kis mode me lena hai woh bhi diya ab aata hai ki document ko kis color me lena hai.
Contents me teen option di hai color lene ke liye. White, background color, transparent.
Wait dosto abhi post khatam nahi hua hai. pahle ye jaaniye ki color kaise lete hai. document ko lene ke liye hume color ko select karna hoga. Pahle hume ye jaana hoga ki kaunsa color ka document lena hai.
4. Toh pahle white color ka document lete hai. usske liye 4. no. white par click kariye aur ant me ok par click kariye photoshop me white document aa gaya hai.niche image me dekhiye.
White Document Kyu Lete Hai?
Aapke man me ye sawaal bhi aa sakta hai ki white document kyu lete hai. kya aap jaante hai photoshop me jayadatar log document lene ke liye white ko hi choose karte hai. kyuki white document par kuch bhi karte hai toh bilkul saaf aur clear hota hai. white par kaam karne me bahut hi saaf dikhta hai. issliye white document bahut hi kaam ka hai.
Abhi tak aapne sikha hai ki white document ke bare me . kaise white document lete hai. ab ye jaaniye ki red, blue, green color ka document ko kaise lete hai.
5. Background Color:- agar aapko white ko chod ke koi aur color ka document lena hai toh yaha par click karke le sakte hai. jaise ki aapne dekha yaha par background color likha hai.
Agar yaha par clicks karke document ko Liya toh wohi color ka document Banega jo color set hai background par. Agar nahi samjhe toh niche image me dekhiye.
Tools bar me niche set background color hai. wohi par color ko set karna padhta hai. set background me jo color ko set karke rakhenge wohi color ka document Banega. Agar background color red ko set kiya hai toh red color ka document banega.
Set Background Color par Color set Kariye.
Tools bar me niche do color ka box dikhta hai. pahla hai set foreground color aur dusra hai set background color. Hume dusra color ko set karna hai. who hai set background color. Tools bar me se set background color par click kariye.
Ab click karte hi color picker open hoga . ab aapko jaisa color ka document lena hai wohi color ko set karke ok kariye. ab color set ho gayahai. jaisa color set ki hai ussi color me document banega.
6. Transparent:– iss par click karke document banane se koi bhi color nahi aayega. Whiti bhi nahi . aur set background color bhi nahi aayega. Ye bina color ka document ko banata hai. iss ka background color nahi rahta hai bilkul khaali rahta hai.
Toh dosto aapne sikh liye hai ki kaise new document color lete hai. phir se ek bar revise kar lijiye. Contents ko hi revise karte hai. Content me white, background color, transparent.
White:- iss par click karke document lene se white document banega.
Background color:-iss par click karke document Banane se wohi color ka document banega jo color set background colo me set hai.
Transparent:-yaha par koi bhi color nahi rahta hai. agar aap ko white color nahi chahiye ya phir koi dusra color ka document nahi chahiye toh iss par click karke bana sakte hai.
Agar aap ko samajne me kahi pareshani ho toh comment karke bataiye me aapka jarur help karunga.